Sunday, December 25, 2011

islamic baatein



















ALLAH Tooba Karney Walo Se Mohabbat Karta HAi

ALLAH (SWT) irshad farmate hain ALLAH tooba karne walo ko apna mehboob bana lete hain or un se mohabbat karte hain
or karte rahegein jab tak wo tooba karte rahegein mein bhi mohabbat karta rahunga,Tooba ki yeh shart hai

Gunha se alag hojana.

Baz log bare bare wazife parhte hian lekin gunah nahi chorte ek burzg farmate hain wazifo se rehmat ka truck to agaya
lekin gunah jo nahi chorta to gazab ka truck bhi samne hain to dono ek dusre ko side nahi dete or gunha mein rehna aur ziada din tak gunah mein rehna bhi achi baat nahi hai
jane kab muat ajae to kis halat mein jaogay or muat bhi na ae to yeh bhi kia kam muat hai jo hum ALLAH ki nafarmani mein jee rahe hain.?

ALLAH hum sab sab ko toba karne ki taufiq naseeb farmaein or hum se mohabbat farmaein


Badnazri Karnay Walo Kay Liye NABI (S.A.W) Ki Baduaa. Brother's and Sister's jo shakhs badnazri karta hai mere Nabi (S.A.W) nay farmaya ALLAH us khabees par Lanat bhej to kia mere Nabi (S.A.W) ki dua ALLAH nahi sunega. Khudara is se bacho yeh aisa amal hai jo pehle ankh ka noor chinta hai dil kharab hota hai or jo shakhs apne itne piyare Nabi (S.A.W) ki badua le wo kia kabhi kamiyab ho sakta hai
 

Miswak Ki Sunnat Kay 2 Faiday..

1:- Agar Wazu Karte hoye miswak karliya jaye to namaz ka sawab 70 gunah (times) ziada hojata hai


2:- Jab muat aegi to Zaban say kalma jari hojaega or us ki muat khair or iman pay hogi




Humaray Nabi (S.A.W) Bar bar miswak kartay thay kyun kay is say
MUN(Mouth) ki safai hoti haii ab to ramzan shoro hone wala hai to
humein Koshish karni chayye jitna ho sakay is sunat ko ada karein 





Umer main Izafa

Nabi Kareem (Sallalah-o-Alaihe Wassalam) ne Farmaya:
Taqdeer ko Dua k ilawa koi aur cheez nahi badal sakti,
Aur Umar main Neki k alawa koi cheez izafa nahi kar sakti.